18 July, 2011

Milan Aur Judai

meri mohabbat ko tum youn ruswa na karo
ye sab khel hain taqdeer ke Milan aur judai
per tum to apni zindagi se mujhay juda na karo
mana bohat khudh garz hun aur khush faham bhi main
per tum bhi mere sitam ko youn saha na karo
saza do mujhay tum meri berukhi ki zaroor
magar aise mujhse apne munh ko tum modaa na karo
janta huun tanha hai sabhi ki sada se ye zindagi
aise khamosh rehker use aur tanha na karo

No comments: